Friday 20 December 2019

Memories Potrait of My Mother

                            Memories Potrait of My Mother

Memories Potrait of My Mother



Hello friends, 

Hum sab ko maalum he ki maa kya hoti he is dharti Swarg ke Parmeshwar ke baad agar koi God he to vo maa he jo hume 9 mahine pet me rakh kar palti he aur hume janam deti he Parmeshwar ki sahayta se Hume is duniya me lekar aati he ,.

Maa ka karz hum kabhi nahi utar sakte , Maa hume achhe sanskar deti he aur hume ungali pakad kar chalna sikhati he , khud bhukhi reh sakti he par Apne bachche ka pet kabhi khali nahi rehne deti , Maa ki Mamta aur Maa ka Pyar bahut Anokha hota he uske pyar ki koi intaha nahi , Maa jaisa is duniya me koi nahi , 

Jitejee hum kadar nahi karte aur Maa he ki jitejee Apne bachche ko dukhi nahi dekh sakti jinki Maa he vo Apni Maa ki puri dekhbhal kare unka aashiwad hamare Jeevan ki sabse badi punji he jo hamesha badti rahegi koi uska aashirwad hamesha hamari raksha karta he , 

Ye Potrait maine jab banaya thha jab me Apni Maa se door thha mujhe uski bahut yaad aati thhi Apne sikhne ke dino me Maine ye Potrait banaya thha aaj Meri Maa is Duniya me nahi he par uski yaad aur uska pyar me hamesha miss karta hoon , 

Jab kabhi dukh pareshani hum par padti he to Bhagwan ke baad Maa ka Shabd hi hamare mukh se nikalta he , jindagi me kamyabi hasil karni he tarakki paani he khusi paani he to Maa ka aashirwad aur Maa ka Pyar hamare sath hona jaruri he , Maa ki Sewa ishwar ki Sewa ke tulye he .

Ye Potrait meri jindagi ki sabse khoobsurat yaad he ye Potrait Maine Pensil se banaya thha (Pensil sketch) .

Painting ek mahan kala he jo hume aisi duniya me le jaati he jo kalpanaon se pare he jo hum sochte he use hum canvas par utar sakte he , Apni bhavnaon ko vyakt kar sakte he , ek sukun milta he jab hum apni kalpna ko canvas par sakar karte he , insan chahe to kuchh bhi kar sakta he hosla aur zazba hona chahiye , aur apne se pehle us khuda par bharosa hona chahiye jisne hume ye kala ka gun Gift me diya he , 

Thank you so much


           Kar lo kadar jinda rehte hue Maa ki kya pata kab kon juda ho jaaye ,


No comments:

Post a Comment

 Guftugu A Beautiful Photo Edit Art , ( Two Little Chickens       Ek Sunder Edit Photo Murgi Ke Chhote Bachchon ki     My YouTube Chan...